Sunday, August 22, 2010

Wo Ladki.....


chehre pe masoomiyat ka nakab odhe, aankho me pyar liye hue jahan bhar ka.
aankho ki core me chhipe ashko me, bhari hui ek parwah apne humdum ki.
Pyar to hona hi tha....................
tar jane ki aas me gota lagaya tha iss dariya me kabhi,
pata hota gar ki ye ghutan mar dalegi til-til kar, khush rah lete apni zamini haqiqat me.
dubte gaye in pyar ki gahraiyon me, na maloom tha dum ghont leti hai masoomiyat kabhi-kabhi.
har jhonke me us purwai hawa ke mahak thi soondhi si, madhoshi ke aalam me ye jahan khushnuma laga.
Kash ye bhi yad rahata mujhe ki "PURWAI HAWA" ko rok paya hai koi kabhi.
bahti rahti hai wo bhigoti hui, apne har aashiq ko prem ki bauchhar se.
Log kahte hai badi pyari hai ye "PURWAI",
'Prem ka sagar'  'mohabbat ki khan' upma di jati hai kabhi-kabhi.

Par masoom "ZANAZA" dekha hai maine ummido ka.
Pyar (!!!!!!!!!!!!!!) se use mai "VAISHYA" kahta hu.

????????????????

Abhishek Bansal

No comments:

Post a Comment